Once it's broken it's difficult to heal! Presenting the most melodious yet heartfelt song "Bewafaa Tu" from the film #Yaariyan2. Sung by Jubin Nautiyal, written & composed by Rahim Shah & Manan Bhardwaj.



Kyun bin bataye yeh aansu hai aaye
Chehre par phir bhi dekho mere hansi hai
Puchhni hai kitni baatein
Kahan kahan guzaari hai raatein
Tere baare mein mujhko khabar yeh mili hai

Suna hai maine bewafaa tu
Bahut hi khush hai kisi gair ke makaan mein
Bahut hi khush hai kisi gair ke makaan mein

Suna hai maine bewafa tu
Mujhe deta hai badduayein dua mein
Mujhe deta hai badduayein tu dua mein

Kaise kiya hai mujhe bhi bata
Kaise bana tu yu bewafa
Kuch to jawab de tu bhi mujhe
Kab tak dhundhu main yun hi tujhe

Kis dar jaake kis khuda se
Kaise mangu bata de tujhe

Suna hai maine bewafa tu
Meri barbadiyon ka jashn manata hai
Meri barbadiyon ka jashn manata hai

Suna hai maine bewafa tu
Meri tasvir akele mein jalata hai
Meri tasvir akele mein jalata hai

Lagta tha mujheme hi hai kuch kami
Jo ishq kiya mujhe mil na saka
Meri hi aankhon mein hai kuch nami
Jo ishq tera mujhe dikh na saka

Mujhe kya pata tha tu hi hai bewafa
Chehra yun tera mujhe dikhe na saka
Sochta rehta hun kya thi khata
Tu mil gaya jo mujhe tu mil gaya

Suna hai maine bewafa tu
Mere marne ka intezar kar raha hai
Mere marne ka intezar kar raha hai

Suna hai maine bewafaa tu
Mere hisse ka usko pyar kar raha hai
Mere hisse ka usko pyar kar raha hai

Written by:
Manan Bhardwaj and Rahim Shah

Comment: